Kabhi kabhi...

Kabhi kabhi mere dil mein khyaal aata hai,
Ke zindagi tere zulfon ke narm chaon mein guzarne paati
Toh shadaab ho bhi sakti thi
Yeh ranj-o-ghum ki sihaahi jo dil pe chaayi hai
Tere nazar ki shuwaaon mein kho bhi sakti thi
Magar yeh ho na sakaa
Magar yeh ho na sakaa
Aur abh yeh aalam hai
Ke tu nahi,tera ghum,teri justuju bhi nahi
Guzar rahi kuch iss tarah zindagi jaise
Isse kisi ke sahare ki arzoo bhi nahi
Na koi raah,na manzil,na roshni ka suraag
Bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri
Inhi andhero mein reh jaonga kabhi khokar
Mein jaanta hun meri Humnawaaz
Magar yunhi,kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Kabhi kabhi...


Comments

Popular posts from this blog

Principle 1.

Killer V.

Principle 4.