Arz kiya hai...


Kuch aise bhi lamhe hoten hain

Jinke hone ki umeed nahi hoti
Choo kar jabh yeh guzar jaate hain
Toh muskuraate aansuon ki keemat nahi hoti

Yun toh dekhten hain hazaar khwaab
Par har khwaab ki taqdeer haqeeqat nahi hoti
Jis pal koi haqeeqat khwaab ban jaaye
Aise pal se zindagi muflis nahi hoti

Mat karo na-umeed is dil ko
Bujhte chiraag se roshni nahi hoti
Toofan se darr kar jo saahil par reh jaaye
Aisi kashti ki koi manzil nahi hoti.

~ Z.


© Zarine.

Comments

Anonymous said…
this is really beautiful...
lovely...
Anonymous said…
wah wah
btw what does "muflis" mean success or failure ...


wondering what that pic had to do with teh poetry
Anonymous said…
Sorry to intrude. Those sweet words were too sugary for my senses. Nice!
Anonymous said…
daad deni hogi aapki adaakaari ki....koi bhi kahega, aap dil se likhti hain. please keep up!

Popular posts from this blog

Dazed

A Mid-Life start – Down Under – Part 1

Personal Branding